Monday, 5 September 2011
barsat/barish/rain poetry
shayad k main kamzor per jata us aakhri mulaqat mein..mohsin
wo to baarish ki meharbani thi jis ne chupaya aansu mere..
♥*¯*♥I♥S♥*¯*♥
Na jane kon c lazat hai mere dard main Wasi….…
K me jab B hansta hon to Aankhen bheeg jati hain
♥*¯*♥I♥S♥*¯*♥
Wo Tou Baarish Ki Boondai’n Dekh Kr Khush Hota Hy
Us Ko Kia Maloom k Hr Girny Wala Qatra Paani Nahi Hota …
♥*¯*♥I♥S♥*¯*♥
Aa Gayi Thi Ik Din Tanhaye Bhi Jazbaat Mein
Aank Sai Bhi Chand Boondein Gir Pari Barsaat Mein
♥*¯*♥I♥S♥*¯*♥
Is bar bhi barish khoob hui aur badal toot k barsa tha
galyan koochy jal thal thy par soch ka darya paysa tha
band darwazon k shishon pe jab boondon ne dastak di
ehsas hua tum aye ho andaz tmhary jesa tha
♥*¯*♥I♥S♥*¯*♥
Ye Baarisho’n K Mausam
Bas Tum Hi Se Hyn Wabasta
k Mohabbato’nMain Baarish
Bari Lazmi Si Shey Hy
Chahey Aasman Se Barsey
Chahey Chashm-e-Nam Se
♥*¯*♥I♥S♥*¯*♥
Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye
Kah Do Baadaloon Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay
♥*¯*♥I♥S♥*¯*♥
Saawan aaya’
Baadal chhaye’
Bulbul chehki’
Phool khiley,
.
.
Tum he nahi jab Barsaaton mein,
Aag lagay Barsaton ko …
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment